salaam, yar hona kya hai pah mai a k itna itna zayada buzy ho gai hun hain k itna k kbi socha b nai tha,waaaaat lag gai hamari.ab kya karain app sunain kaisaI hain and ajj kal kya kartai hain.
Masoom mohabbat ka bas itna fasana hai, Kagaz ki haveli hai baarish ka zamaana hai. Kya shart-e-mohabbat hai kya shart-e-zamaana hai, Awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai.
Uss par uterne ki ummeed bahot kam hai, Kashti bhi purani hai aur tufan ko bhi aana hai. Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke, Ek shaks ko aankho se dil ka sara dard sunana hai.
Bholi si ada koi phir ishq ki zid par hai, Phir aag ka dariya hai aur doob ke jana hai.