Kehnay ko us say mera koi
waasta nahin
Amjad magar woh shakhs
mujhay bhoolta nahin
Darta hoon aankh kholoon
to manzar badal naa jayey
Main jaag to raha hoon
magar jaagta nahin
Aashaftagi say uski usay
beywafa naa jaan
Aadat ki baat or hay dil
ka bura nahin
Tanha udaas chaand ko
samjho naa beykhabar
Hur baat sun raha hay
magar bolta nahin
Khamosh ratjagoun ka
dhuwaan tha chahaar soo
Nikla kub aaftaab mujhay
to pata nahin
Amjad woh aankhain jheel
see gehri to hain magar
Un main koi bhi aks meray naam ka nahin