Masoom mohabbat ka bas itna fasana hai, Kagaz ki haveli hai baarish ka zamaana hai. Kya shart-e-mohabbat hai kya shart-e-zamaana hai, Awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai.
Uss par uterne ki ummeed bahot kam hai, Kashti bhi purani hai aur tufan ko bhi aana hai. Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke, Ek shaks ko aankho se dil ka sara dard sunana hai.
Bholi si ada koi phir ishq ki zid par hai, Phir aag ka dariya hai aur doob ke jana hai.